All Desirable Things In Life Are Either Illegal, Banned, Expensive Or Committed To Others.

MERI MEHBOOBA KO MERI AASHIQI SE NAFRAT THI










Yun to khoob aazmayi meri mohabbat usne,
Khuda se kai baar lagayi meri shikayat usne,
Uski har ek dua mein meri ruksati ki hasrat thi,
Meri mehbooba ko meri Aashiqi se Nafrat thi.








Uski in adaon ka bhi main, deewana hua baitha tha.
Uske dil ki panah ko apna aashiyana kehta tha.
Uski aankon ki Dilkashi maano meri Jannat thi.
Meri mehbooba ko meri Aashiqi se Nafrat thi..









Os se Ishq ka shauk rakhne wala,
uske liye ek Gair tha.
Jitni mujhe mohabbat thi,
usey utnaa hi mujhse Bair tha.
Meri maut ki aarzoo mere,
mashooq ke liye ibadat thi.
Meri mehbooba ko meri Aashiqi se Nafrat thi .





Kai baar zakhm diye the usne,
kai baar namak lagati thi.
Bahut pyaar aata tha uspar,
jab os k bad wo muskurati thi.
Muskurakar mujhe yun khushi dena,
ye uski mujhpar inayat thi.
Meri mehbooba ko meri Aashiqi se nafrat thi .......







Aaj bewafaai ki inteha k wo
Ghero ki bahon mein So gayi..
Mujhe torne ki hasrat itni thi,
k wo kisi aur ki ho gayi..
Kisi aur ka uska ho jaana mere liye qayamat thi.
Meri mehbooba ko meri Aashiqi se nafrat thi...........

No comments:

Post a Comment